Ya Rasoolallah Al Madad Ka Nara
Mazar Par Chadar Chadana
Aaj Kal Kuch Dino Say Ye Fitna Faila Hai Jahan Par Bohat
Say Bad Mazhab Log Masoom Logo Ko Quran Aur Hadees Kay Hawalay Mang Kar Gumrha
Kar Rahay Hai Ye Nichay Kuch Sawalat Aur Unkay Jawabat Hai Jo Ye Log Aksar
Puchtay Hai:
Quation 1 :
Kis Sahabi Kay Urs Par Sab Say Zyada Log Jama Hotay Hai?
Answer 1:
Hazrat Tamim Ansari (Radiallahanhu) Kay Urs Sharif Jinki
Mazar Kolam Sharif Samundar Kay Kinaray Madras Chennai Main Hai Aur Usi Tarah
Hazrat Bilal Habsi (Radiallahanhu) Jinki Mazar Damascus Mulkay Sham Main Hai,
Hazrat Salman Farsi (Radiallahanhu) Iraq, Hazrat Ali (Radiallahanhu) Najaf, In
Sahabi Kay Urs Par Sab Say Zyada Log Jama Hotay Hai.
Question 2 :
Nabi Pak (ﷺ) Kay Daur Kay
Mashoor Qawaal Ka Naam Batao ?
Answer :
Qawaal Kay Manay Buzrgo Kay Qaul Gane Wala Haqqani
Chezian Ganay Wala...Dekhye Urdu Ki Mashoor Lugat Ki Qitab " Firazul
Lugat" Page 949 Writer Molvi Firozudin Deobandi. Nabi Pak (ﷺ) Ki Bargah Kay Mashoor Naat Khwaan Aur Shayar Hazrat Hassan Bin
Thabit, Hazrat Abdullah Ibn Rawah, Hazrat Qaab Ibn Zuhair (Radiallahanha
Ajmain) Hai. Hazrat Qaab Ibn Zuhair (Radiallahanhu) Nay Sab Say Pehla Burda
Sharif Likha "Banat Suad" Is Ka Naam Hai English Main Isay "The
Poem Of The Scarf" Bhi Kehtay Hai Jisay Aap Nay Aqa (ﷺ) Ko Sunaya Is Par Nabi Pak (ﷺ) Bohat Kush
Huye Aur Aap (ﷺ) Nay Inko Apni Kamli (Scarf) Mubarak Tohfay Kay Taur Par Diya,
Ye Kamli Mubarak Sahaba E Karam (Radiallahanha Ajmain) Jab Jang May Jatay To
Apnay Sath Lejatay Aur ALLAH In Sahabiyo Ko Fatah Dila Deta Aaj Bhi Ye
Kamli(Scarf) Turkey Main Topkapi Palace Main Rakhi Hai, Is Tarah Nabi Pak (ﷺ) Ki Shaan Mai Ye Sahaba (Radiallahanha Ajmain) Aksar Kalaam
Padtay Aur Nabi Pak (ﷺ) Khud In Kay Liye Ethmam Farmatay Balki Inaam Bhi Ata Farmatay
{Ref : Mishkat Sharif Page 410, Bukhari Sharif Volume 1
Page 100, Bukhari Sharif Volume 2 Page 773, Shara Muslim Volume 1 Page 49}
Question 3 :
Sahaba Karam Nay Sab Say Pehlay Jis Mazar Par Chadar
Chadaye Wo Kaunsi Rang Ki Thi ?
Answer :
Sahaba Karam Nay Sab Say Pehlay Jis Mazar Par Chadar
Chadaye Wo Nabi Pak (ﷺ) Ka Mazar Pur Anwar Hai Jis Par Surkh (Red) Rang Ki Chadar
Chadai Gaye
{Muslim Saharf Volume 1, Kitab-Ul-Janaiz Hadees 2136}
Question 4 :
Sab Say Pehlay Jis Sahabi Nay Eid Milad Un Nabi Pak (ﷺ) Manaya Unka Naam Kya Hai? Isi Sawal Ko Kaye Log Is Tarah Bhi
Puchtay Hai Ki Kis Sahabi Nay Nabi Pak (ﷺ) Ka Urs
Manaya To In Dono Sawal Ka Jawab Ek Hi Hai Kyun Ki Milad 12 Rabi Ul Awwal Ko
Manaya Jata Hai Jo Ki Nabi Pak (ﷺ) Ki Paidaish
Aur Parday Ki Tariq Hai Is Din Hi Sahaba Karam (Radiallahanha Ajmain Khas
Mehfil E Milad Rakhtay Madina Sharif Main.
Answer :
Nabi Pak (ﷺ) Ka Milad Sab
Say Pehlay Khud ALLAH Subhanwatala Nay Manaya Wo Bhi Ambiya Ki Jamat May
Alam-E-Arwah Main Jahan ALLAH Nay Tamam Ambiya Alaih Salam Say Gawahi Li Aur
Apnay Mehboob Mohammed (ﷺ) Par Iman Lanay Ki Baat Kahi { Ref : Quran Sharif Para 3, Surah
Ale Imran Ayat 81 And 64, Surat Tauba Ayat 128.} Iskay Baad Nabi Pak (ﷺ) Nay Khud Apna Milad Bayan Farmaya
{ Ref Mishkat Sharif Page 513, Muslim Sharif Volume 1
Page 138 & 282, Tirmadi Volume 2 Page 203}
Aur Sahab Karam Main Koi Aisa Sahabi Nahi Hai Jis Nay
Milad Nabi Pak (ﷺ) Na Manaya Ho, Sahaba Karam Ka To Khas Kaam Raha Hai Ki Aap
Jaha Bhi Jatay Milad Padtay Apnay Nabi Ki Tarif Aur Tausif Bayan Kartay Yahi To
Milad Hai Pura Quran Sharif Hai Kya Siwaye Milad E Mustafa(Sal Lal Laho Tala
Alaihi Wasalm) Aur Deegar Ambiya Karamy Ki Tarif Hi To Hai Yahi Milad Hai.
Sahaba Karam (Radiallahanha Ajmain) Main Say Khas Taur Par Nabi Pak (ﷺ) Ka Milad Padhnay Walay Hazrat Amir Ansari (Radiallahanhu) Hai
{ Ref : Islak Moaazam Page 79} Aur Hazrat Jaffar Tayyar (Radiallahanhu) Hai Jin
Hone Najashi Badsha Jo Ki Abyssinia (Ethiopia) Ka Raja Tha Aur Christan Tha Us
Kay Darbar Main Nabi Pak (ﷺ) Ki Milad Padhi Aur Bataya Ki Hamaray Nabi Pak (ﷺ) Kya Hai Unka Martaba Kya Hai Aur Unkay Farman Kya Hai
{ Ref : Bukhari Sharif, Muslim Sharif, Ibn Maja,
Baab-E-Hadees "Al Hijrat"}
Hazrat Abu Bakar Siddiq (Radiallahanhu) Nay Nabi Pak (ﷺ) Nay Bohat Sa Khana Banwaya Aur Fatiha Padha Us Khanay Par Aur
Puray Madina Sharif Main Taksim Kiya Jab Logo Nay Pucha Ki Aaj Kya Hai To Digar
Janay Walo Logo Nay Farmaya Ki Aaj Nabi Pak (ﷺ) Ka Urs Hai
(Fathul Ma'ani)
Question 5 :
Jo Sahaba Karam Ya Rasool ALLAH Al Madad Ya Ali Al Madad
Ka Nara Lagatay Unkay Naam Bataye?
Answer :
Ya Mohammed Ya Rasool Allah (ﷺ) Ka Nara
Lagana Pukarana Sahaba Karam (Radiallahanha Ajmain) Ki Sunnat Hai
{Ref : Muslim Sharif Vol2 Bab-E-Hadis "Al
Hijrat", Ibn Maja Volume1 Page 419, Tirmadhi Volume 2 Page 197, Bukhari
Sharif Page 193,}
Hazrat Qaab-Ibn-Hamza Sahabi (Radiallahanhu) Nay Yahi
Nara Lagaya (Fatwa As Sham Page 298) Aur Mashoor Sahabi Hazrat Abdullah Ibn
Umar (Radiallahanhu) Kay Jab Pair Sun Hogaya To Aap Nay Ya Mohammed Keh Kar
Pukara
{Shifa Sharif Vol2 Page 20, Bukhari Sharif Adab
Al-Mufrad Page No 404 Hadith No. 964}
Ya Ali Al Madad Kehna Bhi Jayaz Hai (Tirmidhi Sharif
Abwabul Anaqib 3713) Huzoor Nabi Pak (ﷺ) Nay Khud
Farmaya Main Jiska Madadgar Hu Ali Uska Madad Gaar Hai.
Question 6 :
Sahaba Karam (Radiallahanha Ajmain) 12 Rabiul Awaal
Sharfi Ko Kis Rang Ka Jhanda Lehratay Thay?
Answer :
Sahaba Karam Nay Amad-E- Nabi Pak (ﷺ) Par Mukhtalif Kism Kay Jhanday Lehra Kar Apni Kushi Ka Izhar
Kiya Hai
{ Madarajatul Nabuwat Vol 2 Page 62} Balki Mashoor
Sahabi Hazrat Barida Aslami Nay To Apnay Amama Sharif Ko Jhnada Banakar Apnay
Nezay Par Lehraya Tha { Madrajajatul Nabuwat Vol2 Page 62}
Note :
Aap Kay Mutalbay Par Quran Aur Hadees Sharif Ki Roshni
Main Aap Kay Sawalat Kay Jawab Dekhar Humnay To Sahi Aqida Musalaman Honay Ka
Sabut Pesh Kardiya Magar Inhi Batao Ko Shirk Aur Biddat Bata Kar Bhole Bhale
Musalamano Ko Gumrah Karnay Wale Kya Sahi Aqida Musalamn Ho Saktay Hai?
Kya Quran Aur Hadees Kay Farman Ko Shirk Aur Biddat
Kehnay Wala Kya Musalman Ho Sakta Hai?
Kya Har Wo Cheez Jo Nabi Pak (ﷺ) Kay Zamanay
Main Na Thi Ya Isko Kisi Sahabi Nay Na Kiya Ho To Kya Wo Har Chiz Shirk Aur
Biddat Hai Insaf Kijye.
1) Kya Qayda Baghdadi Jo Hum Bachpan Main Padtay Hai Say
Lekar Bukhari Sharif Tak, Dars-E-Nizami Ki Tamam Kitabay Alawa Quran Sharif Kay
Na Nabi Pak (ﷺ) Kay Zamany May Thi Na Sahaba Karam Wa Tabaey Nay Isko Padha
Aur Na Padhaya.
2) Baad Namaz Fajar Bila Naga Quran Sharif Ki Tilawat
Karna Na Nabi Pak (ﷺ) Say Sabit Hai Na Kisi Sahabi Say Na Kisi Tabaeen Say.
3) Baad Namaz E Isha 1000 Martaba Pabandi Say Darood
Sharif Padhna Na Nabi Pak (ﷺ) Say Sabit Hai Na Kisi Sahabi Na Kisi Tabaen Say.
4) Masjidon Ko Pokhta Banana, Minar Banana, Ghumbad Aur
Mehrab Lagana, Masjido Main Shandar Kalin Bichana, AC Lagana, Paint Lagwana,
Har Waqt Ki Namaz Ka Ghadi Kay Time Say Waqt Fix Karna, Madarso Kay Liye Zamin
Wakaf Karna, Mustakil Madarsay Banwana, Madarso Main Talba Kay Rehnay Ya Khanay
Ka Intezam Karwana, Madarso Main Chanda Dena, Alim, Fazil, Mufti Waghyra Ki
Dastar Bandi Karwana, Madaris Ka Salana Jalsa Karwana, Deen-E-Kitabay Chapwana
Aur Takseem Karna, Quran Majeed Par Zeer, Zabar, Pesh Lagana, Azan Wa Namaz
Main Mike, Loud Speaker Waghyra Ka Istemal Karna Is Main Say Koi Bhi Cheez Na
Nabi Pak (ﷺ), Wa Sahaba Ya Tabaen Kay Zamanay Main Na Thi Magar Aaj In
Chezo Kay Bagair Hum Apni Mazhabi Umoor(Kaamo) Ko Ada Nahi Kar Saktay. Aaj Ye
Sari Chezain Hamrai Mazhabi Shinaqt Hai Inkay Bagair Hum Apni Mazhabi Zindagi
Sahi Tarikay Par Nahi Guzar Saktay. Insaf Say Bataye Kya Ye Sari Chezain Bhi
Shirk Wa Bidat Hai Agar Nahi Aur Wakye Nahi To Isi Tarah Koi Nek Kaam Nabi Pak
(ﷺ) Kay Zamany Kay Baad Kiya Jaye To Wo Bhi Shirk Aur Bidat Nahi
Hoga. Haan Is Baat Ka Khyal Zaroori Hai Ki Wo Shairyat Kay Khilaf Na Ho. Nabi
Pak (ﷺ) Nay Khud Apnay Baad Achay Kaam Karnay Waley Ko Pasand Kiya Hai
Balki Aisa Kaam Karnay Walo Ko Dugna Ajar Wa Sawab Ki Kush Khabri Bhi Sunaye
Hai.
Hadith Sharif
Hazrat Jarir Ibn Abdullah Bajli (Radiallahanhu) Say
Riwayat Hai Ki Nabi Pak (ﷺ) Nay Irshad Farmay Ki Jo Shaksh Islam Main Acha Tariqa Ijaad
Kareyga Isay Iska Sawab Mileyga Aur Jitnay Log Iskay Bad Is Par Amal Karengy Wo
Sab Kay Barabar Isay Sawab Mileyga.
Ref.
{Musnad Ahmad Ibn Hambal Vol 5 Page 547}
{Muslim Sharif Kitab Uz Zakat Page 327}
{Kitabul Ilm Page 341}
{Nisayee Sahrif Kitab Uz Zakat Page 356}
{Mishkat Sharif Page 33}
Tawajo Farmaye
Milad, Qayam,Fatiha,Isale Sawab, Darood-O-Salam,
Waghaira Mamulat Ahle Sunnat Wal Jammat Agar Bazahir Daur-E-Sahaba Main Apko
Nazar Nahi Atay To Kya Sirf Isi Buniyad Par In Chezo Ko Aur Inkay Alawa Dusray
Neek Kamo Ko Jiska Zikr Pehlay Guzar Chuka Hai Bidaat Aur Shirk Kehna Durust
Hoga? Hargiz Nahi Balki Ye Bohat Badi Jihalat Aur Nadani Hai Aur Shariyat Ki
Halal Aur Mubah Chezo Ko Bagair Kisi Dallel-E-Mana Kay Haram Aur Shirk Biddat
Batana Shariyat Islamia Say Khuli Hui Bagawat Hai Aur Deen-E-Mustafa Kay Khilaf
Bohat Badi Jasarat Hai.
Note :
Sawal Ye Hai Ki Agar Ye Batain Sahab Karam Say Sabit
Nahi To Kya Kisi Sahabi Nay In Batao Ko Na Karnay Say Mana Kiya ?
Aur Jab Kisi Sahabi Nay Mana Nahi Kiya To Aap Kaun Hotay
Hai Mana Karnay Walay Aur Agar Apkay Pass Koi Ayat Ya Hadees Sharif Ho Jahan In
Chezo Ki Manaye Ki Gaye Hai To Pesh Kijye Warna Musalaman Apki Be Buniyad Batao
Ko Bina Dallel Kyu Manay.
ALLAH Tala Ap Logo Ko Sahi Aqal Aur Samajh Ata Farmaey.
Kuch Logo Nay Thoday Aur Bhi Sawalat Kiya Hai Jaisay Kis
Sahabi Nay Gyarwi Ki Niyaz Karwaye Aur Kis Sahabi Nay Azan Say Pehlay Salat
Padhi?
In Kay Jawabo Kay Hawale Say Upar Samjha Diya Gaya Hai
Kafi Detail Main Ki Har Cheez Sahaba Kay Daur Say Sabit Nahi Hai To Ab Aisay
Sawalat Jinka Koi Maqsad Nahi Ho Sirf Logo Ki Gumrahi Ka Sabab Na Banay.
Ab Apko Apkya Mazhab Ka Sahi Aqida Dikhnay Kay Liye
Apsay Chand Sawalat Matloob Hai?
Question 1 :
Nabi Pak (ﷺ) Kay Ilm Ko
Shaitan Lain Kay Ilm Say Kam Batane Wale Sahabi Ka Naam Bataye
Ye Upar Likhi Hui Baat Aap Ki Jamat Kay Pehswa Maulana
Rashid Gangohi Nay Apni Qitab "Barahainay Kaatiya " Page 55 Nay Likha
Hai Aisa Kis Sahabi Nay Kaha Ye Sabit Kijye (Maazallah)
Question 2 :
Wo Kaunsay Sahabi
Hai Jinhoone Nay Kaha Ki Nabi Pak (ﷺ) Mazallah Mar
Kay Mitti Main Milgaye?
Ye Upar Likhi Hui Baat Aap Ki Jamat Kay Baday Alim
Ismail Dhelvi Apni Kitab "Taqviyatul Imam" Page 88 Main Likha Hai Ye
Kis Sahabi Nay Kaha Hai Mazallah Ye Sabit Kijye.
Question 3 :
Auliya ALLAH Ambiya Ko ALLAH Rabul Izzat Ki Bargah Main
Chamar Say Zyda Zali Batane Wali Ayat Ya Hadees Pesh Kijye Ya Kisi Sahbi Ka
Qual Ho To Hawala Dijye?
Ye Upar Likhi Hui Baat Aap Ki Jamat Kay Baday Alim Ismail
Dhelvi Apni Kitab "Taqviyatul Imam" Page 20 Main Likha Hai Ye Kis
Sahabi Nay Kaha Hai Mazallah Ye Sabit Kijiye.
Question 4 :
Namaz Main Nauzbillah Nabi Pak (ﷺ) Ka Khayal
Kho Janwaro Aur Pagalo Kay Khayal Say Badtar Batane Wale Sahbei Ka Naam Bataye?
Ye Upar Likhi Hui Baat Aap Ki Jamat Kay Baday Alim
Ismail Dhelvi Apni Kitab " Siratay Mustakim" Page 167 Main Likha Hai
Ye Kis Sahabi Nay Kaha Hai Mazallah Ye Sabit Kijiye.
Question 5:
Nabi Pak (ﷺ) Ki Qabar
Paak Ki Ziyar Ko Kis Shabai Nay Galat Bataya?
Ye Upar Likhi Hui Baat Aap Ki Jamat Kay Baday Alim Imam
Ibn Taimiya Apni Kitab "Fatawa Ibn Taimiya" Main Likha Hai Ye Kis
Sahabi Nay Kaha Hai Mazallah Ye Sabit Kijiye.
Question 6 :
ALLAH Kay Mehboob Say Mohabat Karnay Inki Arwah Ko Isale
Sawab Karna Inkay Wasilay Say Dua Krna Khaday Hokar Salato Salam Padhna Awliya
Ki Qabro Ki Ziyarat Karna Waha Quran Padhna Kis Ayat Say Ya Hadees Say Shirk
Sabit Hota Hai Ya Kisi Sahabi Nay Mana Kiya Ho Ye Bataye?
Agar Apkay Pass Iska Jawab Quran Aur Hadees Sahrif Ki
Roshni Ya Sahaba Karam Kay Qaul Kay Mutabik Hai To Pesh Kijye Aur Agar Nahi Hai
To Qabl Iskay Ki Maut Apsay Tauba Ka Waqt Cheen Lay Apnay Batil Aqayad Say
Tauba Kijye Aur Masoom Musalmano Ko Mushrik Banaay Say Baaz Aye…
Note: Ye sara jawabat Mufti
Akhtar Raza Misbahi Nay Diya Hai (Sadar Mufti Darool Uloom Makhdoomiya
Jogeshwari west Bombay India)....Plz in sawalat kay jawabat ko itna failaye
taki koi gumrah na ho sakay
0 Comments:
Post a Comment
Subscribe to Post Comments [Atom]
<< Home